(Excuse the absence of a Hindi font. Hope its decipherable...)
khade the poori tayyari ke saath
arambh ki pratiksha bekarari ke saath
man utsahit, pairon mein udaan ki chaahat
na vyatha ka koi tinka, na tanik bhi ghabrahat
laga humein hazaar manzilen kar rahin thi ishaarein
aseemit, ananth aasman humein hi pukare
aur hum bhi bechen the nikal padne ko
nissandhe, nirbhaya, har rukavat se ladne ko
tha intazaar us ek ishaare ka
jise dekh aage badhthe hum
bandook ki ek daag
jise sun dodh padhthe hum
par kisi ne ishaara hi nahin kiya
aur hum kadhe ke kadhe hi reh gaye.